Friday, July 9, 2010

Tumhari Tareefon Ka Sandook

Chhoti si thi jab tum,
Chalti hui ghutnon par,
Pariyon waali frock pahne,
Bholi si muskurahat liye chehre par,
Mitti se sane tumhare chhote se haath,
Doodh aur baby powder ki
Sugandh se saji tumhari saansein,
Chhoti si tum aur chhota sa tha
Tumhari tareefon ka pulinda.

Thodi badi hui tum aur badha
Tumhari tareefon ka pulinda bhi,
Jise tum liye ghoomti thi har waqt,
Seene se chiptaaye,
Totli zubaan mein kahani sunne ki zid karti hui,
Apni si hi chhoti chhoti kavitayen sunate hue,
Gudiyon ka ghar bikhar jaane par munh fulaaye hue,
Un tareefon ko liye kitni sundar lagti thi tum,
Ithlaate hue, khikhilate hue,
Sundar kisi bhi phool se kahin zyada.

Din beete, mausam bhi, badi hoti gayi tum,
Sapne badhe tumhare, paridhi badhi
Tumhare vishwaas ki, tumhari asha aur nirasha ki,
Tareefon ke pulinde mein shamil hone lagi tareefein,
Tumhare doston ki, tumhari duniya ki,
Wo duniya jisme pravesh ka adhikar nahi tha mujhe,
Tareefon ka pulinda bhi badha itna
Ki unhe sahejne ke liye sandook bhi chhota padne laga,
Un saari tareefon mein kahin kho si gayin meri tareefein,
Tumne unhe sambhalna bhi chhod diya shayad,
Aur nikal padi tum apne safar par,
Apne muqaamon ki talash mein,
Bahut peechhe rah gaya main
Aur tumhe talaashti meri tareefein.

Aaj bhi kabhi wo sandook kholo agar tum,
To reshmi kapdon mein lipti tareefon ke beech,
Chithdon mein lipti kuchh tareefein meri bhi milengi tumko,
Agar tum pahchan paao ki wo tareefein kiski hain.
Aur agar kabhi kam lagen tumhe
Apne sandook mein sameti duniya bhar ki tareefen,
Nahi mil paaye dilasa aur hausla unse,
To ek nazar peechhe chhooti sadkon par bhi daal lena,
Kisi mod par khada mil jaaoonga main tumhe,
Aankhon mein ashirwad aur haathon mein
Guldasta liye mahakti tareefon ka.

1 comment: