Ghazal koi kahne ko jee chaha,
Aaj udaas sa rahne ko jee chaha.
Sambhal sambhal kar thak gaya tha,
Hawaaon sang bahne ko jee chaha.
Unki aankhon mein dekh kar aansoo,
Unka har gham sahne ko jee chaha.
Jaane kya hua jo jeete jeete,
Kuchh kar guzarne ko jee chaha.
Wo koi dost tha jo kho gaya hai,
Kyun use yaad karne ko jee chaha.
Ek soyi khwahish thi jo jaag uthi,
Khwabon ka sanwarne ko jee chaha.
Anand ko pyar hai zindagi se fir kyun,
Kisi ki aankhon pe marne ko jee chaha?
No comments:
Post a Comment