Kya pata noq e kalam mein, fir ye dhaar ho na ho,
Roshnaayi sookh jaaye, lafz e bahaar ho na ho.
Jitni bhi sazaa chahe, zamaana aaj de le mujhe,
Fir ishq ka mureed koi, koi gunahgaar ho na ho.
Dum bhar ke liye sahi, sham e firaaq sanwar do,
Itni shiddat se kahin, fir intezaar ho na ho.
Is raat simat aao, aagosh mein mere humnafas,
Dil is qadar kabhi fir, beikhtiyaar ho na ho.
Suqoon ka ik lamha, bahut hai umra bhar ke liye,
Tanha is zindagi mein, kabhi fir qaraar ho na ho.
Anand bas likhte hi jaao, jitni ghazlein likh sako,
Shayaron ki jamat mein, chahe shumaar ho na ho.
No comments:
Post a Comment