Dharmraj ho tum,
Upamayen di jaati hain tumhare jeewan ki,
Mana jata hai dharm ka shikhar tumhe,
Main moodh, agyani, maamooli si Panchali,
Dhrishtta karoon tumse kuchh prashn poochhne ki?
Uttar doge?
Swyamwar me Parth ne vara tha mujhe-
Pitrigrih mein bhi puraskar matr
Bana diye jaane ka tras,
Samajh sakoge tum?
Aur phir tum sabne tukde karne chahe mere man ke bhi,
Chhodne chahe apne hastakshar sharir par mere,
Nakul aur Sahdev ko janm dene se
Kunti ne bhi kar diya tha inqaar,
Shastron ke anusar teen se adhik purush gaman,
Veshyachar jo kahlata hai,
To fir main kya rah gayi Yudhishthir, bata sakoge?
Sach sach batana, maata ki agya ki ot mein,
Tumhare hriday ki andheri parton mein,
Kahin vaasna ne dharm ka avaran to nahi odh liya tha?
Aur Dharmraj,
Nari ko vastu samajhne ki shiksha,
Kis shastra se li thi tumne,
Ki apni swarn-mudraon ke saath,
Laga diya tumne mujhe bhi daaon par?
Tumhare swarth, tumhari laalsa,
Tumhari lolupta ki parten,
Mere vastron ke saath hi khulne lagi thin,
Kyun tumne nahi cheerne di Bheem ko,
Usi kshan Dusshasan ki chhati aur Duryodhan ki jangha?
Dharm ka nasha bhi bada maadak hota hai na Yudhisthir?
Dharmraj, Dharmavatar kahlane ka nasha.
Yadi samajh liya hota tumne
Ki bheeruta paryay nahi hoti dharm ka,
To shayad tal gaya hota kurukshetra ka yudhh.
Jeewan to hai vegwaan, unmukt pravah,
Dharm ke chhoron se ise baandho mat,
Mat dhhondha karo shunya mein samadhan,
Jab koi Panchali apne prashnon se kar de niruttar tumhe.
Aur yadi kabhi samay mile Yudhishthir,
To baithe baithe apne ekant kaksh mein
Socho,
Ki kyun rengne lagte hain mere sharir par sahastra keede,
Jab tum mera sparsh karte ho,
Maun samadhan nahi, so bolo Yudhishthir,
Kyunki ye prashn sirf Panchali nahi kar rahi tumse,
Aur uttar ki prateeksha bhi nahi hai sirf Panchali ko hi.
No comments:
Post a Comment