Aaj fir mere ghar ke
Paas waale chaurahe par
Ek hatya ho gayi hai,
Main gaya tha abhi abhi,
Dekha maine bhi
Kuchh chheente khoon ke jin par
Bhinbhina rahi thi makhiyan.
Laash ko to shayad
Utha le gayi thi police,
Ab wah laash jo
Kuchh kshan pahle tak
Kisi ki ashaon ka
Jeeta jaagta swapn thi,
Ab wahi laash
Police ki anginat faailon mein
Ek file ban kar rah jaayegi.
Us file mein kuchh bhi baat na hogi
Us kamartod karz ki
Jise lekar boodhe baap ne
Padhaya tha apne bete ko,
Wah file to jaanti bhi na hogi
Un aansuon ko
Jo kisi par ban ashirwad
Bahe honge.
File to bas file hai,
Kagaz ke kuchh tukde bhar,
Jinki fadfadahat den hoti hai
Pankhe ki hawa ki,
Jinki fadfadahat mein
Nahi chhupi hoti hai sihran
Un ashaon ki,
Un swapnon ki,
Un akaknshaon ki,
Us vishwas ki,
Aur us nishthur, nirmam
Bhagya ki.
Log bhashan denge
Samaj mein badhti hinsa par,
Goshthiyan aayojit hongi,
Prashastiyan padhi jaayengi,
Smarak banwaaye jaayenge,
Aur in sabke beech
Kisi khushnuma subah
Mere ghar ke paas waale chaurahe par
Sooraj ki pahli kiran ke saath
Ek aur gumnaam laash paayi jaayegi.
Fir tootengi ashayen,
Fir bikhrenge swapn,
Fir anath hoga
Kisi ka pyar,
Kisi ka vishwas,
Kisi ka bhavishya.
Aur police ke record room mein
Rakhi asankhya faayilon mein
Ek file aur badh jaayegi.
No comments:
Post a Comment