Friday, June 18, 2010

Ajab sookha pada hai

Khuda jaane kya ajab sookha pada hai,
Ped hain sookhe, bahar hara hara hai.

Gaon ho ya shahar, har zagah ka haal ye,
Bhookh ka ajgar munh baaye khada hai.

Har subah akhbaar me bas yahi dekha kiye,
Aaj sooli pe phir kahan isa chadha hai.

Jaane kaisi reet duniya me hai chal padi,
Buddh ab pagal aur Gandhi sirfira hai.

Allah ko bhi baant daala mazhabon me,
Ab jahaan me aur kiska aasra hai.

Koi humzubaa nahi, koi humnawaa nahi,
Kisko bataayen aaj dil kyon bhara hai.

Tez-raftar duniya me fursat kise ki soche,
Kisne kya likha, aur kisne kya padha hai.

Sunne waalon, aaj dum saadh kar baitho,
Baad muddat ke koi fir ghazal-saraa hai.

Aaj ghazal me Anand yun mashgool ho gaya,
Gham to raha baaki, lekin zara zara hai.

No comments:

Post a Comment