Friday, June 18, 2010

Main aur meri kavita

Mere rom-rom mein
Rachi basi peeda
Jab ghanibhoot hoti hai,
Surya kiran jab man mein
Aahoot hoti hai
Tab janm leti hai meri kavita.

Surya ki kiran ka tej
Jab antas mein utar,
Jwalamukhi ka roop dharta hai,
Pal pal dhadhakta hai,
Tab vani mein visfot hota hai
Aur garm garm, jalta laawa
Syahi ban,
Kagaz par utar aata hai.

Nazar daalta hoon jab charon or,
Aur paata hoon apne ird-gird,
Bujhe bujhe, murjhaye se chehre
Jinke andar ki aag
Raakh ban chuki hoti hai,
Jinke man ka surya
Ast ho chuka hota hai,
Aur jinki raaten bhi,
Amavasya ki hoti hain.

Tab achanak,
Un chehron ka kabhi dekha gaya,
Hatheli par angaar ugaane ka swapn,
Meri aankhon mein utar aata hai
Khoon ban kar,
Aur main is samoochi
Sadi gali vyavastha ko
Shiv ban
Chahta hoon astitwaheen kar dena.
Meri kavita is tandav ki
Shuruaat matr hoti hai.

Aur,
Rachna ke
Un kuchh anmol kshanon mein,
Mere rom-rom mein
Rachi basi peeda
Mere jeewan ka
Sabse bada sukh ban jaati hai.

No comments:

Post a Comment