Saturday, June 19, 2010

Barse honge baadal

Tumne kaha tha, aaogi tum,
Mausam ki pahli baarish ke saath,
Boondon ke sangeet mein gungunaaogi,
Baadlon ke saaye mein chhup jaaogi,
Bheegi hawaon par tairogi, ithlaaogi,
Tumhare badan se aayegi bheeni khushboo
Mere aangan ki sondhi mitti ki,
Saari dharti odh legi tumhari dhani odhni.

Ye mausam bhi beet chala hai,
Mere khali ghar sa reeta saawan,
Khali tasli sa ambar ka aanan,
Raaten kaali, andhiyari si
Jaise kalikh puti padi ho aasmaan par,
Hawayen bhi is shahar ki anmani si,
Jaise kar rahi hon ek ehsaan bhar,
Kahin zaroor to barse honge baadal,
Shayad meri hi aankhon mein simat simat kar?

No comments:

Post a Comment