Saturday, June 19, 2010

Subah apirichit si

Bahut dinon baad aaj
Aankhen khul gayi subah subah,
Uthne mein waqt nahi laga zara bhi,
Khidki se jhanka to dekha,
Subah ki hawa mein kanpti
Gulab ki pankhuriyan ab bhi geeli thi,
Narm, makhmali dhoop khili thi,
Raat jalayi angeethi ki garmahat
Ab tak kamre ke konon mein bikhri thi.

Bahut dinon baad dekha maine,
Rangon ko aasman mein ghulte-milte,
Nazar bhi milayi aaj to suraj se,
Subah ki chai bhi meethi si lagi,
Ghazal suni Fareeda Khanam ki,
Saath saath gungunaya bhi,
Jaane kyun Faiz ko padhne ka ji chaha,
Jaane kyun muskurata raha
Subah bhar, bematlab.

Itni thand mein thande paani se naha aaya,
Maa se tabiyat ka haal poochha subah subah,
Ek purane dost se baaten ki phone par,
Doodhwaale ko pani milane par toka bhi nahi,
Nashte mein chupchap baasi rotiyan kha li,
Baraamde mein bane jis ghonsle ko
Teen baar tod chuka tha main,
Aaj usi goraiya ke ghonsle se gire ande ko
Sahej kar wapas rakh diya maine.

Kaisi aparichit si hai ye aaj ki subah,
Kahin tum raat sapne mein to nahi aaye the?

No comments:

Post a Comment