Friday, June 18, 2010

Sawaal akhiri

aya hoon kis muqam pe jaane kya haar ke,
Ab nahi guzrenge kabhi, din intezaar ke.

Dilfareb, tera husn to hai ab bhi dilnashin,
Nikla na kar roop tu kuchh yun sanwar ke.

Is din ki dhoop unko bhi kahin bhigo rahi,
Sooraj tum doobna, magar unko nihaar ke.

Thehre pani me apni parchhayi dhoondte ho,
Barson se jame hain yahan patte sewaar ke.

Subahon pe zor hai na shaamon pe bas chale,
Din beet gaye hain ab mere ikhtiyaar ke.

Jis mod pe usne kabhi kaha tha alvida,
Hum aaj khade hain wahin ik umra guzar ke.

Har aadmi is daur me chalta hi jaa raha,
Kisse bayan karein kise dil e beqaraar ke.

Wo Faiz ki nazmein, wo Sahir ki shayari,
Haasil faqat yahi hain mujh khaqsaar ke.

Daayron me qaid shayar kamzor hai bahut,
Mat aazmao use tum kuchh yun pukar ke.

Anand apni zindagi se khush to hai magar,
Bheege se lafz kyun hain uske ashraar ke?

No comments:

Post a Comment